How To Schedule Your First Zoop Live Show – 5 Easy Steps!

How To Schedule Your First Zoop Live Show – 5 Easy Steps!

Aaj hum seekhenge ki Zoop app pe pehla Live Show kaise schedule karein, sirf 5 easy steps mein!

by Adyant Srivastava

Congratulations! Aapka Zoop Store ab ready hai. Agar aap soch rahe ho "how to do live selling from home in India", toh aap bilkul sahi jagah aaye ho. Aaj hum seekhenge ki Zoop app pe pehla Live Show kaise schedule karein, sirf 5 easy steps mein.

Step 1: LIVE Scheduling Page Open Karein

Zoop Partner App ke home screen pe top right corner mein ek laal LIVE button dikhega. Us button ko dabaiye – aur aap pahunch jaayenge Live Show Scheduling Page par.

(Tip: Agar aap mobile phone se kaam kar rahe hain aur soch rahe hain "can I go live from my phone?" – toh jawab hai haan! Zoop app fully mobile-friendly hai.)

Step 2: Title, Description aur Thumbnail Fill Karein

Title aur Description:

Aapko apne Live Show ke liye attractive Title aur clear Description likhna hai.

  • Description mein mention karein agar aap koi discount, free gift, ya giveaway de rahe hain.
  • Use keywords like Kurti Sale, Budget Fashion, ya Exclusive Offers. Yeh aapke show ko search mein upar laane mein madad karega.

Example: Summer Kurtis under ₹999 | Free gift on orders above ₹1999!

Thumbnail:

  • Ek eye-catching photo upload karein jo customers ko attract kare.
  • Yeh image unko aapki live shuru hone se pehle dikhegi.
  • Thumbnail mein apne best-selling product ya collection preview dikha sakte hain.

Step 3: Date & Time Select Karein

Ab aapko apna Live Show ka date aur time select karna hai.

Try karein ki aapka live show shaam ke waqt ya weekends mein ho. (Yes, this is the best time to go live for online shopping viewers in India!)

Step 4: Live Show Preview Karein

Once show schedule ho jaaye, aapke app home screen pe show details dikhegi.

Show pe click karke sab details double check karein.

(Optional): Screen ke upar aap ko Multicast ka option milega. Agar aap ek click se Facebook, YouTube aur Instagram pe Live jana chahte ho toh Multicast select karke apne accounts link karo.

Step 5: Live Start Karne Se Pehle Quick Checks!

Pro Tip: Apne scheduled time se 10 minutes pehle Live Room enter karo aur:

  • Lighting check karo
  • Background clean rakho
  • Camera aur mic test karo
  • Products ready rakho dikhane ke liye

Isse aapka live zyada professional dikhega aur buyers ka trust banega.

Ab jab aapko pata hai ki Zoop App pe Live Show kaise schedule karte hain, toh der kis baat ki? Aaj hi apna pehla Live plan karo aur apne doston ko bhi batana na bhoolo!